❓ Frequently Asked Questions
1. Solar system lagwane ke liye kon kon si cheezein zaroori hoti hain?
Yeh aap ke system type aur requirement par depend karta hai:
🔸 Hybrid System: Inverter, solar panels, wires, DB box, solar stands zaroori. Battery optional hoti hai.
🔸 DC System: Charge controller, battery, DC fans/lights, wiring, DC breakers aur solar panels.
🔸 On-Grid System: Sirf solar panels, on-grid inverter, wires aur stand. Battery required nahi hoti.

2. Kya aap log equipment bhi provide karte hain ya sirf installation?
Hum sirf installation services provide karte hain. Aap kisi bhi supplier se saman le saktay hain, lekin fitting aur connection ka kaam sirf Toor Electric team handle karti hai.
3. Solar installation ki total cost kitni hoti hai?
Yeh aap ke load, system type (DC, Hybrid, On-Grid), aur panel/inverter brand par depend karta hai. Estimate ke liye humein WhatsApp pe load details bhejein.
4. Kya aap log warranty dete hain?
Hum har system ka installation warranty dete hain. Equipment ki warranty brand provider deta hai, jese Longi, Inverex, etc.
5. Kya aap log WhatsApp par support dete hain?
Ji haan! Hum WhatsApp par 24/7 responsive hain. Aap kisi bhi waqt system ka issue ya question pooch saktay hain.
6. Kya aap log all-over Pakistan service dete hain?
Filhal hum sirf Narowal, Shakargarh, Lahore, Sialkot aur Gujranwala ke areas cover kar rahe hain. Future mein aur areas bhi add kiye jaenge, InshaAllah.
7. Kya aap sirf residential kaam karte hain ya commercial bhi?
Filhal hum sirf residential systems install kar rahe hain. Lekin InshaAllah jald hi apni team barha kar commercial solar projects bhi lena start karenge.
8. Solar system install hone ke baad bill zero ho jata hai?
Agar aap ka system properly sized hai aur load control mein hai, to electricity bill bohat kam ya zero ho sakta hai — especially with net metering.
9. Installation ke baad agar masla ho to kya karein?
Simple — humein WhatsApp ya call karein. Hum aapko video call ya site visit ke zariye full support denge.
10. Aap log kis kis brand ke sath kaam karte hain?
Hum kisi company ke saath officially affiliated nahi hain. Hum customer ki provided cheezon ki installation karte hain.
Lekin jo brands quality achi aur price reasonable rakhte hain unko hum recommend zaroor karte hain — jaise Longi, JA Solar, Canadian Solar, Inverex, Galaxy, Knox, Growatt waghera.
Lekin jo brands quality achi aur price reasonable rakhte hain unko hum recommend zaroor karte hain — jaise Longi, JA Solar, Canadian Solar, Inverex, Galaxy, Knox, Growatt waghera.
0 Comments